Sunday, March 13, 2011

Kya din the wo......................












Kya din the wo, jab hum jiya karte the,
Bina koi fikrah maa ki god me soya karte the.
Jab man kiya manmaani, jab chaha tanatani,
aise the wo din jab apni chalaya karte the.

kitni bhi daant padne par, dinbhar khelkar
maa ke haath ka rasna hi piya karte the.
Karte the ji bhar ke padai aur
kabhi kabhi teacher ki maar ke bhi maze liya karte the.

Bhai behan ke saath ladai ke baad,
kabhi papa ki maar bhi kha liya karte the.
Aur thoda sa roke naatak karne ke baad,
maa ka wo anomol pyar bhi paa liya karte the.

karte the doston se ladai,
par pyar bhi unhe utna hi kiya karte the.
aa jaata tha school me koi pasand,
to kabhi uska bhi didar kar liya karte the.

Sard raaton ki wo angithiyan,
charo taraf baithkar antakshri khela karte the.
Papa ke daantane par sardiyo me bhi
subah subah uth jaaya karte the,
par unhe kya pata, padne ke bahane,
kitab pakde razai me kitni jhapkiyan le liya karte the.

kya din the wo, jab hum jiya karte the.

Aur aaj,

na to wo maa ki loriyan hain,
na hi wo garm razaiyan.
Na kabhi le paate hain wo befikr angdaaiyan.

Na kar paate hain wo masti,
na hoti hain wo karastaniyan.

kal ki soch me hi beet jaate hain saare pal,
aise beet ta hain hamara aaj aur agla kal.

Dost to naam ke bahut hain, par koi hain
jo do pal baith ke sune hamari pareshani?
Aisa ab koi nai hain jiske saath
chahe to kar sake kabhi bhi manmaani.

kya din the wo, jab hum jiya karte the.


10 comments:

Anirudha said...

That's really awesome, really remind me those days yar, kash hum log kabhi bade hi nahi hote...

Rakhee said...

Kya wapis bachpan nahi aa sakta.. Kya phir se wo aangan nahi ga sakta..i miss those days... U made me Nostalgic.. :(
Cute creation..Mahesh.. BTW..I m there to hear ur pareshani... I m just a call away... :) Dont worry beta..

Unknown said...

hello bhaiya
its really awesome .we all miss dat golden moments...."koi toh lota do wo bachpan ka din woh kagaj ki kashti woh barish ka pani "....

Incredible India said...

Awesome man!!
Really, kya din the woh jab hum jaipur exams dene jate the, :)

-
Robin

Unknown said...

superlike...mujhe mere bachpan mae bhej diya ek pal k liye...but kya ye pal waps kabhi nahi aa sakte? :( sab kal ki fikar mae lage hai aaj ko koi nahi jeeta :(

sheetal said...

kya re bhai.....tune to sainti kar diya....plz dont be that much imotional n i m always dere 4 u n we r the same buddy...mujhe nahi lagta ki hum abhi tak bade hue hai....n tu to mujhe abhi tak waise hi pareshan karta n i think me too....hai na :)

Unknown said...

Hi dear,
Really awesome and perfectly true....
Loved it

MasterOfJin said...
This comment has been removed by the author.
mamta bajeli said...

awesome bhaiya ...........it really touched me ........kya baat hai .....dil khush kar diya aapke iss poem ne ............wah ustaad ..wah ...

Unknown said...

Good one Mahesh....